ganesh bhajan in hindi

ganesh bhajan in hindi

ganesh bhajan in hindi

friends aap sabhi ka hamare blog sabkamanoranjan.in par swagat he aur hamari aaj ki post he ganesh bhajan in hindi .dosto ham jab bhi koi naya kaam shuru karte hain to bagvaan ganesh ko zaroor yaad karte hain .ham bhi aaj

    ganesh bhajan

ke madhyam se inhe yaad kar rahe hain because aaj hamara naya laptop jo aaya he.jinke pita khud devon ke dev mahadev and maa parvatiji ho vo khud kitne shaktishali hain ham sab bhali bhanti jante hain .to chaliye aap sab bhi hamare is bhajan ko padhiye aur doob jaiye ganesh ji ki bhakti me jiska shirshak he ganpati bappa ganpati bappa,aap hi ho sansar ke pappa.

“ganesh bhajan in hindi ganpati bappa ganpati bappa,aap hi ho sansar ke pappa”

ganpati bappa ganpati bappa
aap hi ho sansar ke pappa
balak jano pe aan padi he
aakar kar lo jaldi raksha

ham ko he maya ne ghera
chaaya charon or andhera
agar aapki ki kripa milegi
ho javega pal me savera
karte dono haath jodkar
sun lo binti o sukhkarta
karte dono haath jodkar
sun lo binti o sukhkarta
haan ,ganpati bappa ganpati bappa
aap hi ho sansar ke pappa
balak jano pe aan padi he
aakar kar lo jaldi raksha

duniya par corona ka khatra
dar dar jeeta prani akela
agar aapki kripa milegi
pataal me hoga uska basera
jab jab hamko kasht hua he
daud ke aaye hain dukh harta
jab jab hamko kasht hua he
daud ke aaye hain dukh harta
haan ,ganpati bappa ganpati bappa
aap he ho sansar ke pappa
balak jano pe aan padi he
aakar kar lo aap hi raksha

pyare mitron yeh thi aaj ki choti si post ganesh bhajan in hindi jo ki hamare laptop ki khushi zahir karti he hamari post ko share kare and aise hi apna pyaar dete rahe.aap yeh bhi padh sakte hain
images on Ganesh Chaturthi

You May Also Like

About the Author: Editor sabkamanoranjan

दोस्तों आपका हमारी website sabkamanoranjan .in पर स्वागत है | इस website पर आपको information और entertainment दोनों एक ही जगह और एक नए अंदाज़ में मिलेंगे जो आपका भरपूर मनोरंजन करेंगे | यह website हर age group के लिए है | इस website की categories ये हैं :- Hindi poem ,baal kavita ,shayri , Hindi podcast ,Hindi song ,suvichar ,blogging ,online earning etc .

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.